Wednesday 28 February 2018

INTERNET

 Interner 
 HOW IS WORKING INTERINT

 INTERNET

Internet to aap har roj use karte ho. Kiya aapko pata hai ki Internet Kya HaiInternet Kam Kaise Karta Hai, Internet Ka Malik Kon Hai. Agar aapko nhi pata to koi baat nehi is article me main aapko insab chizo ke bare me hi batane wala hu. Aaj ke time me Internet ek aisa chiz hai jiske bagar puri duniya 100 saal piche chala jayega. Aaj ke time me hum jo bhi kam ya services use karte hai woh sab directly ya indirectly internet ke through hi complat hota hai. Kuch mahine pahle Japan me 30 minutes ke liye internet badh ho gaya tha kisi technical issue ke wajah se. In 30 minit me Japan me halchal mach gaya tha.Vaise aap kahenge ki 30 minute me aisa bhi kiya huya hoga, agar hum 30 minute aapni Mobile me internet use nhi karenge to aisa bhi kiya hoga. Toh baat aisa hai ki Internet sirf aapki mobile aur computer me use nhi hota. Agar Internet badh ho jata hai to Bank kam nehi kar payega, Atm badh ho jayega, badhe badhe corporate offices me kam nehi hoga, Train-airplane ticket book nehi hoga, Email send nehi hoga, Share Market band ho jayega, Government department ek dusre se sampark nehi kar payega.

Internet Kya Hai aur Internet Kaise Chalta Hai



What Is Internet In Hindi

Internet woh chiz hai jo Computer ko dusre Computer se jodata hai. Jese maan lijiye ki abhi aap mere is article ko padh rahe ho toh mere jo yeh article hai woh Store hai aapse hajaro kilometer dur kisi Computer me ya technical language me bole to Web Server me store hai. Woha se yeh article aapki Mobile/Computer me aati hai. Toh yeh jo Connection hai jiske wajah se meri Website ka article aapke Mobile/Computer tak pahunchta hai isko hum bolte hai Internet. Yeh same chiz hota hai jab aap koi chiz Upload ya Send karte ho. Internet ka matlab hi hota hai ek chiz ko dusre chiz ke sath connect karna. Agar aap janna chahate ho ki Internet kam kaise karta hai to iske bare me maine niche bataya hai.

Internet Kam Kaise Karta Hai 

Aapko to pata chal hi gaya hoga ki Internet connection hai jo puri duniya ko ek dusre se jodhata hai. Ab savaal uthata hai ki Internet kam kaise karta hai, aakhir yeh Internet Kaise Chalta Hai. Aap sayet sochte honge ki internet Satellite ke through chalta hoga, Tower se chalta hoga. But aisa nehi hai, 99% internet chalta hai Fiber Optic Cable ke madhyam se. Yeh cable duniya bhar me bichha huya hai samunder(sea) ke niche se. Aise cable ke madat se hi internet chalta hai. Ab aap keh sakte ho ki aapki Mobile me to koi cable laga huya nhi hai to isme internet kaise chal raha hai. Toh baat aisa hai ki aap jis Mobile tower se connected ho woh tower internet Cable se connected hai. Cable ke jariye hi Mobile Tower me internet pahunchta hai aur Tower se aapki Mobile tak. Same chiz hota hai jab aap koi chiz upload ya send karte ho- Mobile se Tower tak aur uske bad cable ke through jaha jana hota hai woha chala jata hai.


Agar main aapse kahu ki Internet bilkul free hota hai aur Internet ka koi malik nhi hai to kiya aap vishvaas karege. Agar aapko bharosa nehi ho raha hai to bharosa kijiye kyon ki yeh baat bilkul sahi hai. Darasal internet free hai bhi aur nehi bhi. Internet kyi Product nehi hai ki jisko factory me banane ke profit ke sath bech diya. Aapko to pata hi hai ki Internet cable ki through chalta hai toh woh Cable bichhane ka kharcha, Cable ka maintenance ka kharcha, usko aap tak pahuchane ka kharcha aur company ka jo profit hota hai wohi hum Pay karte hai. Aur internet ka malik is liye nhi hai kyon ki isme kyi ek company nehi hai, sabhi company milkar kam karta hai. Jese maan lijiye ki aapne Airtel ya Jio ko 500 rupee internet ke liye diye. Ab aap jo internet use karoge woh Airtel/Jio ke cable se hote huye jis jis company ke cable se gujarega unko bhi aapki diya 500 rupee me se kuch percentages milega.

No comments:

Post a Comment

Featured post

IPL VIRAT KOHLI (RCB)